Bahana Dhundte rahte hain koi rone ka hamei ye shauq hai kya astin bhigone ka
Bahana Dhundte rahte hain koi rone ka hamei ye shauq hai kya astin bhigone ka.. Agar palak pe hai moti to ye nahin kaafi hunar bhi chahiye alfaz mei pirone ka.. Jo fasl khvab ki tayyar hai to ye jaano ki vaqt aa gaya phir dard koi bone ka.. Ye zindaga bhi ajab karobar hai ki mujhe Khushi hai paane ka, koi na ranj khone ka.. Hai paas paas magar phir bhi muskurata hai vo chehra jaise ho Tuute hue khilaune ka..
Comments
Post a Comment