Bahana Dhundte rahte hain koi rone ka hamei ye shauq hai kya astin bhigone ka
Bahana Dhundte rahte hain koi rone ka
hamei ye shauq hai kya
astin bhigone ka..
Agar palak pe hai moti to ye nahin kaafi
hunar bhi chahiye
alfaz mei pirone ka..
Jo fasl khvab ki tayyar hai to ye jaano
ki vaqt aa gaya phir
dard koi bone ka..
Ye zindaga bhi ajab karobar hai ki mujhe
Khushi hai paane ka,
koi na ranj khone ka..
Hai paas paas magar phir bhi muskurata hai
vo chehra jaise ho
Tuute hue khilaune ka..
Comments
Post a Comment